[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho

Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho

[Verse 1]
Na rahi apni zameen, na raha apna makaan
Aise logo ko bata jaaye toh jaaye kahaan
Kaise hoga bhala in sab ka guzaara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
[Verse 2]
Bahte ashko ki panaaho mein sisakti aahein
Apne bachcho se juda hoke bilakhti maayein
Kisne cheena hai budhaape ka sahara dekho
[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Verse 3]
Ab chinaaron se bhi cheekho ki sada aati hai
Jism toh jism hai ab rooh kaanp jaati hai
Kaise insaan ne insaan ko maara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
Kaise insaan se insaan ko maara dekho
Kaise insaan ne insaan ko maara dekho
Kaise insaan ne insaan ko maara dekho
[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
[Verse 4]
Begunahon ke kalejo pe sitamgar ke sitam
Ab toh dam tod chuke deeno dharam rahmo karam
Yeh watan kaise chand logo se haara dekho
Yeh watan kaise chand logo se haara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Verse 5]
Apni saanson mein jo toofan chhupa rakhi hai
Jalte seeno mein jo barood daba rakhi hai
Aise bachcho ka kis taraf hai ishaara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Chorus]
Aao jannat mein jahannam ka nazara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
Kis tarah barf se uthta hai sharara dekho
[Outro]
Mulk azaad karo mulk azaad karo
Mulk azaad karo mulk azaad karo
Mulk azaad karo mulk azaad karo
Suna
LISTEN ON