
[Chorus]
Ya toh barbaad kar do
Ya toh barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Woh galat tha yeh sahi hai
Jhooth yeh aaj keh do
Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do
Lab pe aake jo ruke hain
Dhaai woh harf keh do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do
Mushkil aasaan kar do
Mushkil aasaan kar do
Ya toh barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do
[Verse 1]
Meetha sa yeh zehar main toh
Peeta rahunga
Tu khuda na sahi main toh
Sajde karunga
Meetha sa yeh zehar main toh
Peeta rahunga
Tu khuda na sahi main toh
Sajde karunga
Tum jo Shirin na huye kya
Humko Farhaad kar do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do
Mushkil aasaan kar do
Ya toh barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do
[Verse 2]
Khwaabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahaan pehle se hi sailaab tha
Nagme banaata phira saazon pe
Dil apna faqat mizraab tha
Khwaabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahaan pehle se hi sailaab tha
Nagme banaata phira saazon pe
Dil apna faqat mizraab tha
Meri bejaan hasraton ko
Qaabil-e-daar kar do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do
Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do
Ya toh barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Suna
LISTEN ON