NOW PLAYING

Bairiyaa

Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Intro]

Re baandhe, re baandhe, re baandhe

Aise mohe baandhe

Haan mohe baandhe woh nainon ki dor se

Hai yeh pyaar kaisa, iska raaz hai kya bol de

Keh bhi de

[Chorus]

Kabhi sukoon, kabhi laage balaa hai

Kabhi duaa, kabhi laage halaa hai

Nainon se yeh kya ho chalaa hai

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

[Verse 1]

Kaisi yeh peer jo raatein jaage

Taaron ko chhaante re

Kaisi yeh peer jo raatein jaage

Raatein jaage aur taaron ko chhaante re

Palkon ki dibbiyon mein rehte

Khwaab hain udne ko kehte

Haathon se chhoota, chhoota chalaa hai jiyaa

O Bairiyaa...

[Chorus]

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

[Verse 2]

Udne lagi hain khamoshi se

Baaton ki parchhiyaan

Udne lagi hain khamoshi se

Khamoshi se baaton ki parchhiyaan

Hone lage aadhe aadhe

Aankhon se hi kayi waade

Saansien jalaaye ishq ki yeh sardiyaan

O Bairiyaa...

[Chorus]

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

Bairiyaa o bairiyaa, mujhe sataa naa bairiyaa

[Outro]

Kabhi duaa, kabhi kabhi halaa

Bairiyaa o bairiyaa

Bairiyaa...

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music