NOW PLAYING

Bolo Na Tum Zara

Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Chorus]

Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala

Chhedta hai yeh aasmaan, mausam lage aaj manchala

Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala

[Verse 1]

Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala

Pyaar ki roshni jismon mein ghul gayi

Pyaar ki aas mein rooh yeh dhul gayi

Rog chalne laga, dil ka yeh kaafila

Sarsaraati huwi hawa youn vaadiyon mein hai beh rahi

Pyaar ki hi kahaaniyan kaanon mein hole se keh rahi

Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala

[Chorus]

Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala

[Verse 2]

Pyaar yeh subah ki makhmali dhoop hai

Pyaar yeh shaam ko saawala roop hai

Yeh jaadoo hai kya, jo hai humpe huwa

Pyaar paaya to zindagi ek pal mein jaise badal gayi

Rang ujhle hai raagini naye sur mein jaise hai dhal gayi

Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala

[Outro]

Bolo na tum zara, (bolo na tum zara)

Pyaar yeh hota hai kya, (pyaar yeh hota hai kya)

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala.

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music