
[Intro/Verse 1]
Kacche dhaagon ka yeh rishta
Ban jaata hai bachpan se
Marte dum tak saath nibhaye
Bandh ke raksha bandhan se
[Chorus]
Dhaagon se baandha
Ehsaas dil ke rishte ka
Rishta yeh apna Rabb ki rubaai
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
[Verse 2]
Tumse hi toh khilte saare phool ummeedon waale
Himmat bandh jaati hai jab tu hans ke paas bitha le
Khushiyon ka tu saamaan hai
Tu saath hai toh yun lage jeena bada aasaan hai
[Chorus]
Baaton se baandha
Har taar apne rishte ka
Rishta yeh apna Rabb ki rubaai
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
[Bridge]
Dhaagon se baandha
Ehsaas tumse milne ka
Milna yeh apna Rabb ki rubaai
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
[Verse 3]
Chaar dishaon jaisi tum ho
Mere liye zaroori
Tum na ho toh har din aadha
Har ik shaam adhoori
Aadha mujhe rehna nahi
Kuchh kam lage woh ghar mujhe
Jismein koyi behna nahi
[Chorus]
Yaadon se baandha
Jazba yeh apne rishte ka
Rishta yeh apna Rabb ki rubaai
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
Main rahun na main tere bina
Tu rahe na tu mere bina
Suna
LISTEN ON