
[Verse 1]
Tujhko... main rakh loon wahaan
Jahaan pe kahin hai mera yaqeen
Main jo... tera na huaa
Kisi ka nahin... kisi ka nahin...
[Chorus]
Le jaayein jaane kahaan
Hawayein, hawayein...
Le jaayein tumhe kahaan
Hawayein, hawayein...
Begaani hai yeh baaghi
Hawayein, hawayein...
Le jaayein mujhe kahaan
Hawayein, hawayein...
Le jaayein jaane kahaan
Na mujhko khabar na tujhko pataa
O...
[Verse 2]
Banaati hai jo tu
Woh yaadein jaane sang mere kab tak chale
Inhi mein to meri
Subah bhi dhalein shaamein dhalein mausam dhalein
Khayalon ka shehar
Tu jaane tere hone se hi aabaad hai
Hawayein haq mein
Wohi hai aate jaate jo tera naam le
Deti hain jo sadaayein
Hawayein, hawayein...
Na jaane kya bataayein
Hawayein, hawayein...
[Chorus]
Le jaayein tujhe kahaan
Hawayein, hawayein...
Le jaayein mujhe kahaan
Hawayein, hawayein...
Le jaayein jaane kahaan
Na mujhko khabar na tujhko pataa
O...
[Bridge]
Chehra... kyun milta tera
Yun khwabon se mere yeh kya raaz hai
Kal bhi... meri na thi tu
Na hogi tu kal meri aaj hai
Teri hai meri, saari wafayein wafayein
Maangi hai tere liye duaayein duaayein
[Outro]
Le jaayein tujhe kahaan... hawayein, hawayein...
Le jaayein mujhe kahaan... hawayein, hawayein...
Le jaayein jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaayein tujhe kahaan (hawayein hawayein)
Le jaayein jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaayein tujhe kahaan (hawayein hawayein)
Le jaayein jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaayein mujhe kahaan (hawayein hawayein)
Suna
LISTEN ON