[Intro]
Haan re..
[Verse 1]
Kaisi teri khudgarzi.
Na dhoop chune na chhaanv.
Kaisi teri khudgarzi.
Kisi thaur tike na paanv.
Kaisi teri khudgarzi.
Na dhoop chune na chhaanv.
Kaisi teri khudgarzi.
Kisi thaur tike na paanv.
[Pre-Chorus]
Ban liya apna paigambar.
Tair liya tu saat samandar.
Phir bhi sookha man ke andar.
Kyun reh gaya..
[Chorus]
Re Kabira maan ja.
Re fakeera maan ja.
Aaja tujhko pukaarein.
Teri parchhaiyaan.
Re Kabira maan ja.
Re fakeera maan ja.
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaiyaa.
[Verse 2]
Tooti chaarpaai wohi.
Thandi purvaai rasta dekhe.
Doodhon ki malaai wohi.
Mitti ki suraahi rasta dekhe.
[Pre-Chorus]
Kaisi teri khudgarzi.
Lab naam tera mera mishri.
Kaisi teri khudgarzi.
Tujhe preet purani bisri.
[Bridge]
Mast maula, mast kalandar.
Tu hawa ka ek bawandar.
Bujh ke yun andar hi andar.
Kyun reh gaya..
[Chorus]
Re Kabira maan ja.
Re fakeera maan ja.
Aaja tujhko pukaarein.
Teri parchhaiyaan.
Re Kabira maan ja.
Re fakeera maan ja.
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaiyaa.
Suna
LISTEN ON
