
[Verse 1]
Pighla de zanjeerein bana unki shamsheerein
Kar har maidaan fateh o bandeya
Kar har maidaan fateh
Ghayal parinda hai tu
Dikhla de zinda hai tu
Baaki hai tujhmein hausla
Tere junoon ke aage
Ambar panaahein maange
Kar daale tu jo faisla
[Pre-Chorus]
Roothi takdeerein toh kya
Tooti shamsheerein toh kya
Tooti shamsheeron se hi ho..
[Chorus]
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh re bandeya
Har maidaan fateh (x2)
[Verse 2]
In gardishon ke baadalon pe chadh ke
Waqt ka girebaan pakad ke
Poochna hai jeet ka pata
Jeet ka pata..
In mutthiyon mein chaand taare bhar ke
Aasmaan ki hadd se guzar ke
Ho ja tu bheed se judaa
Bheed se judaa, bheed se judaa..
[Pre-Chorus]
Kehne ko zarra hai tu
Lohe ka chharra hai tu
Tooti shamsheeron se hi ho..
[Chorus]
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh re bandeya
Har maidaan fateh (x3)
[Verse 3]
Teri koshishein hi kaamyaab hongi
Jab teri yeh zidd aag hogi
Phoonk dengi naa-ummeediyan, naa-ummeediyan
Tere peeche peeche raaste yeh chal ke
Baahon ke nishaanon mein dhal ke
Dhoondh lenge apna aashiyaan
Apna aashiyaan, apna aashiyaan..
[Pre-Chorus]
Lamhon se aankh mila ke
Rakh de jee jaan lada ke
Tooti shamsheeron se hi ho..
[Chorus]
Kar har maidaan, har maidaan
Har maidaan.. har maidaan..
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh
Kar har maidaan fateh re bandeya
Har maidaan fateh (x3)
[Outro]
Kar har maidaan fateh re bandeya
Har maidaan fateh..
Suna
LISTEN ON