NOW PLAYING
Main Agar Kahoon cover

Main Agar Kahoon

Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Intro]

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

[Verse 1]

Tum hue meherbaan, to hai yeh daastaan

Ab tumhara mera ek hai kaarwan, tum jahaan main wahaan

Main agar kahoon humsafar meri apsara ho tum ya koi pari

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

[Chorus]

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahi

Ke jin mein tum ho kya tumhein main bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen, kayanaat mein nahi hai kahin

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

[Verse 2]

Shokhiyon mein doobi yeh adayein

Chehre pe thehri hui yeh haya

Labon pe thehri hui yeh khamoshiyan

Aankhon mein thehri hui yeh sharm-o-haya

Main agar kahoon yeh dilkashi, hai nahi kahin na hogi kabhi

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

[Chorus]

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahi

Ke jin mein tum ho kya tumhein main bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen, kayanaat mein nahi hai kahin

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

[Outro]

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music