NOW PLAYING

Main Agar Kahoon

Sonu Nigam, Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Chorus]

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahi

Ki jinme tum ho kya tumhe main bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen

Kaynaat mein nahi hai kaheen

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

[Verse 1]

Shokhiyon mein doobi yeh adaayein

Chehre se jhalki huyi hain

Zulf ki ghani-ghani ghatayein

Shaan se dhalki huyi hain

Lehrata aanchal hai jaise baadal

Baahon mein bhari hai jaise chaandni

Roop ki chaandni

[Chorus]

Main agar kahoon yeh dilkashi

Hai nahi kaheen na hogi kabhi

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

[Bridge]

Tum huye meharbaan to hai yeh daastaan

Tum huye meharbaan to hai yeh daastaan

Ab tumhara mera ek hai karwaan

Tum jahaan main wahaan

[Chorus]

Main agar kahoon hamsafar meri

Apsara ho tum ya koi pari

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahi

Ki jinme tum ho kya tumhe main bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen

Kaynaat mein nahi hai kaheen

Tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music