
[Intro]
Kyon chalti hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
[Verse 1]
Kyon aati hai bahaar
Kyon lutta hai karaar
Kyon hota hai pyaar
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
[Bridge 1]
Ye madhoshiyaan
Ye tanhaaiyaan
Tasavvur mein hai
Kisiki parchhaiyaan
Ye bhiga samaan
Umadte armaan
Mujhe ishq le
Ja raha hai kahaan
[Verse 2]
Kyon gum hai har disha
Kyon hota hai nasha
Kyon aata hai mazaa
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
[Bridge 2]
Dhadakta bhi hai
Tadapta bhi hai
Ye dil kyon achanak
Bahakta bhi hai
Mahakta bhi hai
Chahakta bhi hai
Ye dil kya wafa ko
Samajhta bhi hai
[Verse 3]
Kyon milti hain nazar
Kyon hota hai asar
Kyon hoti hai sahar
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
[Outro]
Kyon chalti hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
Kyon aati hai bahaar
Kyon lutta hai karaar
Kyon hota hai pyaar
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
Suna
LISTEN ON