
[Intro]
Jai ho, Jai ho Shankara
(Bholenath Shankara)
Aadi Dev Shankara
(Hey Shivay Shankara)
Tere jaap ke bina
(Bholenath Shankara)
Chale ye saans kis tarah?
(Hey Shivay Shankara)
[Verse 1]
Mera karm tu hi jaane, kya bura hai kya bhalaa
Tere raaste pe main to aankh moond ke chalaa
Tere naam ki jot ne, saara har liya tamas mera
[Chorus]
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
[Bridge]
Srishti ke janam se bhi, pehle Tera vaas tha
Ye jag rahe ya naa rahe, rahegi Teri aastha
Kya samay... kya pralay
Dono mein Teri mahaanta
Mahaanta... mahaanta...
[Verse 2]
Seepiyon ki ontt main
(Bholenath Shankara)
Motiyaan ho jis tarah
(Hey Shivay Shankara)
Mere mann mein Shankara
(Bholenath Shankara)
Tu basa hai uss tarah
(Hey Shivay Shankara)
Mujhe bharam tha jo hai mera
Tha kabhi nahin mera
Arth kya nirarth kya
Jo bhi hai sabhi Tera
Tere saamne hai jhuka
Mere sar pe haath rakh Tera
[Chorus]
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
[Verse 3]
Chandrama lalaat pe
Bhasm hai bhujaaon mein
Vastra baagh chhaal ka
Hai khadau paanv mein
Pyaas kya ho tujhe
Ganga hai Teri jataaon mein
Jataaon mein... jataaon mein...
[Bridge]
Doosaron ke waaste
(Bholenath Shankara)
Tu sadaive hi jiya
(Hey Shivay Shankara)
Maanga kuch kabhi nahin
(Bholenath Shankara)
Tune sirf hai diya
(Hey Shivay Shankara)
Samudra manthan ka tha samay jo aa pada
Dwand dono lok me vishamrit pe tha chida
Amrit sabhi main baant ke
Pyaala vish ka tune khud piya
[Chorus]
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
[Outro]
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo-Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
Suna
LISTEN ON