[Intro]
Noor-e-Khuda
O o o o o o
Noor-e-Khuda
[Verse 1]
Ajnabi mod hai
Khauf har ore hai
Har nazar pe dhuaan chha gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
[Pre-Chorus]
Hmm... Aasmaan zard hai
Aanhein bhi sard hai
Tan se saaya juda ho gaya
Hmm... Pal bhar mein jaane kya kho gaya
[Chorus]
Saansein ruk si gayi
Jism chhil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na humse nazarein phira
[Verse 2]
Ho nazarein karam, farmaa hi de
O deen-o-dharam, ko jagaa hi de
O jalti huyi tanhaaiyaan
Roothi huyi parchhaaiyaan
Kaisi udhi ye hawa
Chhaaya ye kaisa samaan
[Chorus]
Rooh jam si gayi
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na humse nazarein phira
[Bridge]
Ujde se lamhon ko aas teri
Zakhmi dilon ko hai pyaas teri
Har dhadkan ko talaash teri
Tera milta nahin hai pataa
Khaali aankhein khud se sawaal karein
Aman ki cheekh behaal kare
Behta lahoo fariyaad kare
Tera mitta chala hai nishaan
[Chorus]
Rooh jam si gayi
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahaan hai ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Kya ye sach hai tu hai humse khafa
[Outro]
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahaan hai ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Kya ye sach hai tu hai humse khafa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahaan hai ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahaan hai ye bataa
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Suna
LISTEN ON