
[Intro]
Pehle bhi main tumse mila hoon
Pehli dafa hi milke laga
Tune chhua zakhmon ko mere
Marham marham dil pe laga
[Chorus]
Paagal paagal hain thode
Baadal baadal hain dono
Khul ke barse, bheege zara
Pehle bhi main tumse mila hoon
Pehli dafa hi milke laga
Tune chhua zakhmon ko mere
Marham marham dil pe laga
[Verse 1]
Galat kya sahi kya mujhe na pata hai
Tumhein gar pata ho bata dena
Main arse se khud se zara laapata hoon
Tumhein gar miloon toh bata dena
Kho na jaana mujhe dekhte dekhte
Tu hi zariya ya tu hi manzil hai
Ya ke dil hai itna bata
Tune chhua zakhmon ko mere
Marham marham dil pe laga
[Chorus]
Paagal paagal hain thode
Baadal baadal hain dono
Khul ke barse, bheege zara
Pehle bhi main tumse mila hoon
Pehli dafa hi milke laga
Tune chhua zakhmon ko mere
Marham marham dil pe laga
[Outro]
Aara..
Suna
LISTEN ON