NOW PLAYING

Pookkalae Sattru Oyivedungal (Hindi)

Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Chorus]

Tu chale, sang chale sabhi gul

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

Tu chale, sang chale sabhi gul

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

[Verse 1]

Hai aisa lage wahaan roz khile gul

Jahaan tera aana jaana

Hai aisa lage gul ghalati se ban gaye

Rab ne thaa tujhe banana

Yeh mehka mausam, husn ka aalam

Hai teri hi parchhaai

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

[Chorus]

Tu chale, sang chale sabhi gul

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

[Verse 2]

Tu na jaane, na na jaane, na na re

Jaana tera khayal, jaana tera kya haal

Tere jiya ki taal surmayi

Aankhon mein hai shabaab, jaise khile gulaab

Dekhein aise hi khwaab hum kayi

Tere aane se yaar aisa aaya nikhaar

Jaise aayi bahaar ho nayi

Tere hothon ke jaam pee loon subah shaam

Tu toh mera hi naam ho gayi

Meri duniya mein tune hai rang bhara

Mere saath ye duniya dekh zaraa

Meri tu hi toh hai pyaari duniya, saari duniya

Mere humkadam

[Chorus]

Tu chale, sang chale sabhi gul

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

Hai aisa lage wahaan roz khile gul

Jahaan tera aana jaana

Hai aisa lage gul ghalati se ban gaye

Rab ne thaa tujhe banana

Yeh mehka mausam, husn ka aalam

Hai teri hi parchhaai

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

[Bridge]

Door khile rang kaun sa rang tera hai batlana

Lo haath se chhoota dil, rang tere maine rang hai jaana

Mehak gayi hai le khushboo, mehka tera jo hai ye aanchal

Phoolon ki tu hai raani ya phir tu hai koi sandal

Bheeni bheeni baatein, sahaj sugam mausam

Piya mere aise mausam ab aayenge hardam

Tu jo mujhe haasil, naina kare jhilmil

Saathi tere hone se hain khushiyon ke ye kafile

[Chorus]

Tu chale, sang chale sabhi gul

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

Hai aisa lage gul ghalati se ban gaye

Rab ne thaa tujhe banana

Hai aisa lage wahaan roz khile gul

Jahaan tera aana jaana

Yeh mehka mausam, husn ka aalam

Hai teri hi parchhaai

Apna hai ye khayaal, apna hai ye khayaal

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music