NOW PLAYING

Saathiyaa

Shreya Ghoshal2026 · PopSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Intro]

Saathiya.. Saathiya..

Pagle se dil ne

Yeh kya kiya

Chun liya.. Chun liya..

Tujhko deewane ne

Chun liya

[Verse 1]

Dil toh uda uda re

Aasman mein badalon ke sang

Yeh toh machal machal ke

Ga raha hai sun nayi si dhun

[Chorus]

Badmash dil toh thag hai bada (Badmash dil toh thag hai bada)

Badmash dil yeh tujh se juda (Badmash dil yeh tujh se juda)

Badmash dil meri sune na zid pe ada.. (Badmash dil meri sune na zid pe ada..)

[Verse 2]

Achhi lagey dil ko mere

Har teri baat re

Saaya tera ban ke chalun

Itna hai khwaab re

Kandhe pe sar rakh ke tere

Katt jaaye raat re

Beetenge din thame tere

Hathon mein hath re

Yeh kya hua mujhe

Mera yeh dil phisal phisal gaya

Yeh kya hua mujhe

Mera ye jahaan badal badal gaya

[Chorus]

Badmash dil toh thag hai bada (Badmash dil toh thag hai bada)

Badmash dil yeh tujh se juda (Badmash dil yeh tujh se juda)

Badmash dil meri sune na zid pe ada.. (Badmash dil meri sune na zid pe ada..)

[Bridge]

Neendein nahin chaina nahin

Badlun main karwatein

Taare ginu ya main ginu

Chadar ke sarwatein

Yaadon mein tu khwabon mein tu

Teri hi chahatein

Jaaun jidhar dhoonda karun

Teri hi aahatein

Yeh jo hai dil mera

Yeh dil suna na keh raha yahin

Woh bhi kya zindagi hai

Zindagi ki jis mein tu nahi

[Chorus]

Badmash dil toh thag hai bada (Badmash dil toh thag hai bada)

Badmash dil yeh tujh se juda (Badmash dil yeh tujh se juda)

Badmash dil meri sune na zid pe ada.. (Badmash dil meri sune na zid pe ada..)

[Outro]

Saathiya.. Saathiya..

Pagle se dil ne

Yeh kya kiya

Chun liya.. Chun liya..

Tujhko deewane ne

Chun liya

Dil toh uda uda re

Aasman mein badalon ke sang

Yeh toh machal machal ke

Ga raha hai sun nayi si dhun

Badmash dil toh thag hai bada

Badmash dil yeh tujh se juda

Badmash dil meri sune na zid pe ada

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music