
[Intro]
O ho....ooooo... oho.....oooo
Oho....oooooo...oooo...
[Verse 1]
Bheegi bheegi sadkon pe main
Tera intezaar karun
Dheere dheere dil ki zameen ko
Tere hi naam karun
Khudko main yoon kho doon
Ke phir na kabhi paaun
Haule haule zindagi ko
Ab tere hawaale karun
[Chorus]
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
Karam re, karam re
Tera mujh pe karam hua re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
[Verse 2]
O ho...
Tere kareeb jo hone laga hoon
To toote saare bharam re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
[Bridge]
O ho....
Baadalon ki tarah hi toh
Tune mujhpe saaya kiya hai
Baarishon ki tarah hi toh
Tune khushiyon se bhigaaya hai
Aandhiyon ki tarah hi toh
Tune hosh ko udaaya hai
Mera muqaddar sawaara hai yoon
Naya savera jo laaya hai tu
Tere sang hi bitaane hain mujhko
Mere saare janam re
[Chorus]
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
Karam re, karam re
Tera mujh pe karam hua re
Sanam re, sanam re
Tu mera sanam hua re
[Outro]
O ho..... ohoooo... ohoooo... ooo
O ho..... ohoooo... ohoooo... ooo
Suna
LISTEN ON