NOW PLAYING

Sher Aaya Sher

Divine2026 · Hindi IndieSuggest Edit
A−A+
Continue in Suna

[Verse 1]

Sher ki zubani

Sun yeh shehar ki kahani

Yahan rap nahi hota

Tere wehem ko bhagadi

Ladkiyan na gaadi

Apni alag hai abaadi

Asal rap ka yeh jwala

Tere aatma mein jagadi

Kyunki farak hai

Tujhe chhedne ki talab hai

Tu nakli wala marad

Mardangi pe kalank

Hawainiyat ki shakal

Jitni tujhme garmi usse

Zyada garam mera kalam

Kyun itna besharam?

Kya kaam ka woh kaam

Jisme tera kal nahi

Kya kaam ka woh kaam

Jisme tu safal nahi

Bal nahi, dimaag ki zaroorat

Tere bhai ki hukumat

Sachchai ki yeh surat

[Chorus]

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Sachchai ki yeh lehar

Har mauhalle mein kehar

[Verse 2]

Dadagiri bandh kar

Tu chal toh sambhal kar

Khud ko tu dhoond ke

Tu usko amal kar

Nakli guroor usko masal kar

Nakli wajood usko kuchal kar

Zara kam kar shaanegiri

Kam kar zara kam kar yeh lukhhegiri

Kam kar thanda kar jo

Bukhaar tere sar par

Kam kar guroor yeh khatam kar!

Zara kam kar shaanegiri

Kam kar zara kam kar yeh lukhhegiri

Kam kar thanda kar jo

Bukhaar tere sar par

Kam kar guroor yeh khatam kar!

[Chorus]

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Sachchai ki yeh lehar

Har mauhalle mein kehar

[Outro]

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Bhag bhag bhag aaya

Sher aaya sher

Suna

Suggest Edit

LISTEN ON

YouTube MusicSpotifyApple Music