
[Intro/Verse 1]
Thoda thoda besabar hai, bekhabar hai
Jo dil hai tera mera
Thoda thoda hosh uda hai, gumshuda hai
Jo dil hai tera mera
[Pre-Chorus]
Ho jabse main tujhse mila hoon
Tabhi se toh main khoya sa rehta hoon
Tabhi se toh hai tapish yeh, khalish yeh, khumaari
[Chorus]
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa
[Verse 2]
Har ek pal shaqal badal ke
Mujhe dikha raha hai khwaab kal ke
Dekho na khwaab hai dekh lo
Aasman se main fisal ke
Teri baahon mein rahun pighal ke
Aaj ki yeh raat hai kal kya jaane
[Pre-Chorus]
Ho dil mein iraada kiya hai
Aankhon se koi ishaara de diya hai
Kaisi ho rahi tapish ye, khalish ye, khumaari
[Chorus]
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa
[Bridge]
Dil tu sambhal raha hai ab kyun
Behoshian khili hain ab tu
Baahon mein yeh karwatein baandh le
Zara thehar ke sun jo main kahun
Nazdeekiyon mein ghul ke ab tu
Saanson ki aahatein thaam le
Jaan le pehchaan le
Jo hua hai sach hai ya
Ho raha koi gumaan hai
[Chorus]
Kaisi ho rahi tapish ye, khalish ye, khumaari
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa
Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa
Suna
LISTEN ON