[Intro]
Ishq jaise hai ik aandhi, ishq hai ik toofaan
Ishq ke aage bebas hai, duniya mein har insaan
Ishq mein sab deewane hain, ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuch mushkil hai, ishq mein sab aasaan
[Pre-Chorus]
Dekho pyaare, ye nazaare, ye deewane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
[Chorus]
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
[Post-Chorus]
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum
[Verse 1]
Dil toh ik raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil toh hai ik kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil toh hai mera tanha jaana, aao toh mehfil ho
Ishq se hi saari khushiyaan, ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi aazaadi
Ishq ki duniya mein yaaron, khwaabon ki aabaadi
Kho gaya woh jisko manzil, ishq ne dikhla di
[Pre-Chorus]
Dekho pyaare, ye nazaare, ye deewane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
[Chorus]
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
[Post-Chorus]
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum
[Verse 2]
Tumko puja hai, tumhaari hi ibaadat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai
Dil mera paagal hai jaana, isko tum behlaado
Dil mein kyun halchal hai jaana, mujhko tum samjhaado
Dil ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehraado
Zulf jo baadal hai jaana, mujhpe tum barsaado
Jaana leke jaaya hai, tera ye deewaana
Jaan tujhpe mit jaayega, tera ye parwaana
Jaana mere dil mein kya hai, tumne ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega, mera ye afsaana

Suna
LISTEN ON