[Verse 1]
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile, har khushi mil gayi
[Verse 2]
Tere honthon pe hain, husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain, zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa yeh tera badan
Meri jaanejaan, main teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
[Chorus]
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere saajna
[Verse 3]
Yeh bandhan hai pyaar ka, dekho toote na sajni
Yeh janmon ka saath hai, dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaaon ke tale, meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkhon ki chhaaon ke tale, mohabbat mujhe mil gayi
[Chorus]
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile, har khushi mil gayi
[Verse 4]
Jee karta hai saajna, dil mein tumko bitha loon
Aa masti ki raat mein, apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kyun, mere seene mein aye sanam
Tumhein chaahoonga dilon jaan se, meri jaanejaan teri kasam
[Chorus]
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere jaanejaan
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile, har khushi mil gayi
[Outro]
Meri jaanejaan, main teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere saajna
Yeh haseen waadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan, aye mere saajna
Suna
LISTEN ON